Ranjish hi sahi dil hi Dukhane ke liye aa

Ranjish hi sahi dil hi Dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chod ke jane ke liye aa

Pahale se Marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa

Kis kis ko batayenge Judai ka sabab hum
Tu mujh se khafa hai to Zamane ke liye aa

Kuch to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa

Ek umr se hun lazzat-e-giriya se bhi maharum
Ae rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa

Ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiden
Ye aakhiri shammen bhi bujhane ke liye aa

Mana ki muhabbat ka chipana hai muhabbat
Chupke se kisi roz jatane ke liye aa

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
Aise hi kisi roz na jane ke liye aa

Post a Comment

0 Comments