Maine dekha tha un dino mein usey..
Jab woh khilte gulaab jaisa tha
uski palkon se neend chhanti thi
uska lehja sharaab jaisa tha
uski zulfon se bheegti thi ghatta
uska rukh mahtaab jaisa tha
log padhte they khal-o khad uss ke
woh aadaab ki kitaab jaisa tha
bolta tha zubaan khushbu ki
log sunte they dhadkanon mein usey.
Maine dekha tha un dino mein usey..
saari aankhein thi aainey uske
saare chahron mein intekhaab tha woh
ye khwaab hai ki woh haqeeqat tha
ye haqeeqat hai ki koi khwaab tha woh
sab se ghul-mil kar ajnabi rehna
ek dariya'numa saraab tha wo
apni neendein usi ki nazar hui
maine paya tha ratjaggon mein usey.
Maine dekha tha un dino mein usey..
jab wo hans hans ke baat karta tha
dil ke kheme mein raat karta tha
rang padte they aanchalon mein usey.
Maine dekha tha un dino mein usey..
ye magar dair ki kahani hai
ye magar door ka fasana hai
us ke mere milaap mein hayil
ab toh sadiyon bhara zamana hai
ab toh ye ki haal apna bhi
dasht-e hijran ki shaam jaisa hai
kya khabar inn dino woh kaisa hai
0 Comments