mujh se bichar ke sheher bhar mein ghul mil gaya wo shakhs
halanke sheher bhar se adawat usey bhi thi
wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha, ji gaya
warna her ik saans qayamat usey bhi thi
sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
shayed rafaqaton ki zarurat usey bhi thi
tanha hua safar me to mujh pe khula ye bhaid
saye se pyar dhoop se nafrat usey bhi thi
Mohsin main us se keh na saka yun bhi hal-e-dil
darpesh ak taza museebat usey bhi thi
0 Comments