Teri Aankhon ne Aankhon ka Sisakna bhi nahein dekha

Teri Aankhon ne Aankhon ka Sisakna bhi nahein dekha
Mohabbat bhi nahein dekhi Tarapna bhi nahein dekha

Nahein dekha abhi tumne meri tanhai ka manzar
Ke apne aap se mera ulajhna bhi nahein dekha

Abhi tum ne tumhare bin meri halat nahi dekhi
Abhi tum ne mera ghum mein bilakna bhi nahi dekha

Abhi tumne duaaon mein Mere aansoo nahi dekhe
Khuda ke samne.. mera sisakna bhi nahein dekha

Teri janib se ulfat ka koi pegham kia aata
Nahein dekhi haya meri simatna bhi nahein dekha

Abhi tumne nahi dekha koi manzar judai ka
Abhi patton ka shakon se bikharna bhi nahi dekha

Chalo bandhe safar apna sitaron se kahin aagay
Ke humtum mil ke woh dekhein ke jo sapna bhi nahein dekha

Faqat is aaine mein tum ne dekha hai abhi khud ko
Jadun pani ka aankhon mein ubharna bhi nahi dekha

Post a Comment

0 Comments