Benaam sa ye dard thehar kyon nahi jata

Benaam sa ye dard thehar kyon nahi jata
Benaam sa ye dard thehar kyon nahi jata
jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jata

Sab kuch to hai kya dhondti rehti hain nigahen
kya baat hai main waqat pe ghar kyon nahi jata

Woh ek hi chehra to nahi sare jahan mein
jo door hai woh dil se utar kyon nahi jata

Main apni hi uljhi hui rahon ka tamasha
jate hain jidhar sab main udhar kyon nahi jata

Woh khwab jo barson se na chehra na badan hai
woh khwab hawaon mein bikhar kyon nahi jata

Post a Comment

0 Comments