Ujre Hue Logon Se Gurezaa Na Hua Kar
Halaat K Qabron K Ye Kutbey Bhi Parha Kar
Kia Janye Kiun Taiz Hawa Soch Men Ghum Hai
Khuwabaida Parindon Ko Darakhton Se Uraa Kar
Us Shakhs K Tum Se Bhi Marasim Tou Honge
Who Jhoot Na Boly Ga Mere Samney Aakar
Ab Dastaein De Ga Tu Kahan A Gham-E-Ehbaab
Men Ne Kaha Tha K Mere Dil Men Raha Kar
Wo Aaj Bhi Sadiyo Ki Musafat Pe Khara Hai
Dhudha Tha Jisay Waqt Ki Diwaar Gira Kar
Ae Dil Tujhe Dushman Ki Bhi Pehchan Kahan Hai
Tu Halqa-E-Yaraan Men Bhi Muhtat Raha Kar
Men Mar Bhi Chuka ,Mil Bhi Chuka Mouj-E-Hawa Men
Ab Rait K Seenay Pay Mera Naam Likha Kar
Pehla Sa Kahan Hai Ab Meri Raftaar Ka Aalam
A Gardish-E-Doraan Zar Tham Tham K Chala Kar
Is Rutt Men Kahan Phool Khilen Ge Dil-E-Nadaan
Zakhmon Ko He Wabasta Zanjeer-E-Saba Kar
Ik Rooh Ki Faryad Ne Chonka Diya Mujh Ko
Tu Ab Tou Mujhe Jism K Zindaan Se Reha Kar
Har Waqt Ka Hasna Tujhe Barbad Na Kar De
Tanhai K Lamhon Men Kabhi Ro Bhi Liya Kar
Is Shab K Muqaddar Men Sehar Hi Nahi Mohsin
Dekha Hai Kai Charagon Ko Bujha Kar
0 Comments