Hamesha dair kar deta hoon main

Hamesha dair kar deta hoon main
Hamesha dair kar deta hoon main
Zaroori baat kehni ho
Koi wada nibhana ho 
Use aawaz deni ho 
Use wapis bulana ho

Hamesha dair kar deta hoon main

Madad karni ho us ki
Yaar ke dharas bundhana ho
Bohat dayreena rastoon par
Kisi se milne jana ho 

Hamesha dair kar deta hoon main

Badalte mosamon ke sair mein 
Dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho 
Kisi ko bhool jana ho

Hamesha dair kar deta hoon main

Kisi ko maut se pehle 
Kisi ghum se bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch 
us ko Ja ke ye batana ho

Hamesha dair kar deta hoon main

Post a Comment

0 Comments