Khizaan Ki Rut Main Gulaab Lehja

Khizaan Ki Rut Main Gulaab Lehja
Khizaan Ki Rut Main Gulaab Lehja Bana Ke Rakhna Kamal Yeh Hai
Hawa Ki Zad Main Diya Jalana, Jala Ke Rakhna Kamal Yeh Hai

Zara Si Larzish pe Tor dete hain sab talluq zamane walay
So aesay weson se bhi talluq bana ke rakhna kamal yeh hai

Kisi ko dena yeh mashwara ke, wo dukh bicharne ka bhool jaye
Aur aesay lamhe main apne ansoo chupa k rakhna kamal ye hai

Khaual apna mizaj apna pasand apni kamal kya hai
Jo yar chahay wo hal apna bana k rakhna kamal ye hai

Kisi ki rah se khuda ki khatir utha k kante hata ke pathar
Phr us k agay nigah apni jhuka k rakhna kamal ye hai

Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi larkharaye, shikast khaye
Labon pe apne woh muskurahat saja k rakhna kamal ye hai

Hazaar Taqaat ho, sau daleelan hon, phr bhi lehje main ajzi se,
Adab ki lazzat dua ki khusbu basa k rakhna kamal yeh hai

Post a Comment

0 Comments