sadma to hai mujhe bhi ke tujhse juda hun main
lekin ye sochta hun k ab tera kya hun main
bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main
main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
apne badan ki qabr mein kabse gara hun main
kis kis ka nam laun zaban par k tere sath
har roz ek shakhs naya dekhta hun main
na jane kis ada se liya tune mera nam
duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main
le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
do char sal umr mein tujhse bara hun main
jaga hua zamir wo aina hai "Qateel"
sone se pahale roz jise dekhta hun main
0 Comments