Bayaan e haal mufassal nahi hua ab tak

Bayaan e haal mufassal nahi hua ab tak
Bayaan e haal mufassal nahi hua ab tak

Jo mas'ala tha wohi hal nahi hua ab tak


Nahi raha kabhi main teri dastaras se door

Meri nazar se too ojhal nahi hua ab tak


Bichhar ke tujh se ye lagta tha toot jaunga

Khuda ka shukr hai paagal nahi hua ab tak


Jalaye rakha hai main ne bhi ek chiragh e umeed

Tumhara dar bhi muqaffal nahi hua ab tak


Mujhe tarash raha hai ye kaun barson se

Mera wajood mukammal nahi hua ab tak


Daraaz dast e tamanna nahi kiya main ne
Karam tumhara musalsal nahi hua ab tak

Post a Comment

0 Comments