Bhuli basri hui yaadon mein kasak hai kitni

Bhuli basri hui yaadon mein kasak hai kitni
Bhuli basri hui yaadon mein kasak hai kitni
Doobti shaam ke atraaf chamak hai kitni

Manzar e gul to bus ek pal k liye Thahra tha
Aati jaati hui saanson mein mahak hai kitni

Gir ke Toota nahi shayed woh kisi patthar per
Uski aawaz mein taabinda khanak hai kitni

Apni har baat mein woh bhi hai hasinon jaisa
Us saraapay mein magar nok plak hai kitni

Jaate mausam ne jinhein chhor diya hai tanha
Mujh mein un Toot.te patton ki jhalak hai kitni

Post a Comment

0 Comments