Mile bina hi bichharne ke Dar se laut aaye
Ajeeb khauf mein hum us ke dar se latu aaye
Na aise roiye naakami -e- muhabbat per
Khushi manaaiye zinda bhanwar se laut aaye
Yeh sochte hue baithe hain raah mein ruk kar
Udhar to gaye hi nahi the jidhar se laut aaye
Lab uske, saamne the aur hum ne chooma nahi
Samajh lo paon uthay aur dar se laut aaye
Abhi to waqt hai suraj ke doobne mein to phir
Ye kya hua K parinday safar se laut aaye
Kisi bhi tarah ye duniya na chhor paye hum
K jab bhi nikle teri rahguzar se laut aaye
Phir us ne dekha koi tara toot_te ek raat
Phir ek roz musafir safar se laut aaye
Mere guzarne ki afwaah hi uraa de koi
Kise khabar k woh jhooti khabar se laut aaye
0 Comments