Azeeztar mujhe rakhta tha woh rag e jaan se
Yeh baat sach hai. mera baap kam nahi maa se
Woh maan ke kehne pe kuch raub mujh pe rakhta tha
Yehi wajah thi mujhe choomte jhijhakta tha
Woh aashnaa mere har karb se raha har dum
Jo khul ke ro nahin paya magar sisakta tha
Jurri thi uski har ek haan faqat meri haan se
Yeh baat sach hai. mera baap kam nahi maa se
Har ek dard woh chup chaap khud pe sehtaa tha
Tamaam umar woh apnon se katt ke rehta tha
Woh laut‘ta tha raat der tak...... din bhar
Wajood uska paseene mein dhal ke behta tha
Giley the mujhe phir bhi aese chaak daama se
Yeh baat sach hai. mera baap kam nahi maa se
Purana suit pehenta tha kam woh khaata tha
Magar khilone mere sab khareed lata tha
Woh mujh ko soye huye dekhta tha jee bhar ke
Na jane soch ke kya kya woh muskurata tha
Mere bagher the sab khawb us ke wiraan se
0 Comments