Urdu Shayari Sad Urdu Poetry Love

Urdu Shayari Sad Urdu Poetry Love
Suno tum lot aao na
Kisi din lot aao na

Woh dekho chand nikla hai
Sitare jagmagate hai

Hamari muntazir aankhain
Dua mangti aankhain

Tum ko hi sochti aankhain
Tum ko hi dhondti aankhain
Tum ko wapis bolati hain

Ye dil jab bhi dharakta hai
Tumhara naam leta hai

Ye aansu jab bhi behte hain
Tumhare dukh me behte hain
Ye barish jab bhi hoti hai
Tumhari yaad aati hai

Suno tum lot aao na
Kisi din lot aao na

Post a Comment

0 Comments