Din raat tarsne lagte hein jab yad tumari aati hai,

Din raat tarsne lagte hein jab yad tumari aati hai,

Hum toot ke bikharne lagte hein jab yad tumari aati hai,

Kuch apni tum ko batlaein kya haal humara hota hai,

Hum tanha rone lgte hain jab yad tumari aati hai,

Ye sansain bhi tham jati hain ye dharkan bhi ruk jati hai,

Hum jeene marne lagte hain jab yad tumari aati hai,

Jab tum ko bhoolne lagte hain,to khud ko murda pate hain,

Hum phir se jeene lagte hain jab yad tumari ati hai.

Post a Comment

0 Comments