Koi waqt purana yaad aya"

Koi waqt purana yaad aya"
Phir guzra zamana Yaad Aya"

Phir chaak say Un Dewaron pay,
Kuch likh kr jana Yaad aya"

kabhi Aisa bhi to hota tha,
Mein tujh se Milne ata tha!

Jab wapas Aaney Lagta tha,
Tera Hath Hilana Yaad aya"

Woh milna Pipal Ki Chaon Men,
Tera Sir Rakhna mere kandhe pe!

Mera woh Kehna Koi Dekh Na Le,
Tera woh Gabrana Yaad aya"

Woh Waqt Gaya Lemhe Betey,
Ab Her janib Tanhahi hy!

Bas Aik Hy manzar Ankhon Men,
Tera chhor k jana Yaad aya

Post a Comment

1 Comments