ishq darya main nahi koi kinaara yaara

ishq darya main nahi koi kinaara yaara
tu ne kis morr pe aa mujh ko pukara yaara

kis tarah chaand saja aa k tere mathay per
kese utra teri ankhon main sitara yaara

jeet ja jashn bhi chup chup k manaya tu ne
dekh main kese tere samne haara yaara

chekhne lag gayi andar ki udaasi mujh main
main ne ro ro k tujhay itna pukara yaara

aik bhi pal nahi kat'ta tha tujhay dekhay bin
ab tere baad karen kese guzara yaara

main to ab bhi hon teri ankh se ojhal manzar
tu to ab bhi hai mujhay jan se pyara yaara

tum bhi ab sheher ki baton main chalay atay ho
ab tumhain kese kahon main hon tumhara yaara

Post a Comment

0 Comments