Kya Aise Kam-Sukhan Se Koi Guftagoo Kare,
Jo Mustaqil Sukoot Se Dil Ko Lahoo Kare,
Ab Tu Hamen Bhi Tark-E- Maraasim Ka Dukh Nahin,
Par Dil Ye Chaahtaa Hai Ke Aaghaaz Tu Kare,
Tere Baghair Bhi To Ghaneemat Hai Zindagi.
Khud Ko Ganwa K Kon Teri Justujo Kare,
Ab To Ye Aarzo Hai K Wo Zakhm Khaaiye,
Taa-Zindagi Ye Dil Na Koi Aarzo Kare,
Tujh Ko Bhula K Dil Hai Wo Sharminda-E-Nazar,
Ab Koi Hadsa Hi Tere Ru-Ba- Ro Kare,
Chup Chaap Apni Aag Mein Jalte Raho "Faraz"
Duniyaa To Gharz-E-Haal Se Be- Aabro Kare.

0 Comments