Khile gulab ka murjhana bura lagta hai,
Mohabat ka yun mar jana bura lagta hai,
Fasle mitana achhi baat hai ,
par kisi or ka unke nazdik jana bura lagta hai
Yu to chalti hai hawa roz fizao me,
Par uska-unko chhu kar guzar jana bura lagta hai,
Unki hansi hai hume sabse pyari ,
par unka kisi ko dekhar muskarna bura lagta hai ,
Intzar me unke bita denge sari zindgi,
Lekin unka yu milke bichhad jana bura lagta hai
Keh to dete hai hum roz bewafa unko ,
par kisi or ka un pe ilzam lagana bura lagta hai
wo naam tak na le humara zndgi bhar gam nhi,
par na jane kyu unke labo pe kisi or ka naam ana bura lagta hai.
Poetry send:
"Farida Mohammad"
0 Comments