Kabhi Jo Chhiri Yad_e_Raftagaan 'Mohsin'_
Bikhar Gai Hain Nigahen Kahan Kahan 'Mohsin'_
Hawa Ne Raakh Uraai To Dil Ko Yad Aaya_
K Jal Bujhi'n Mere Khawabo'n Ki Bastiyan 'Mohsin'_
Kuch Aisy Ghr Bhi Mile Jin Mai Ghoongaton K Auz_
Hui Hain Dafan Dupaton Mai Larkiyan 'Mohsin'_
Khandar Hai Ehd_e_Guzishta Na Chhoo Na Chhair Isay_
Khulen To Band Na Hon IsKi Khirkiyan 'Mohsin'_
Bujha Hai Kon Sitara K Apni Aankh K Sath_
Hwy Hain Saare Manaazir Dhuaan Dhuaan 'Mohsin'_
Nhi K Is Ne Ganwaye Hain Maah_o_Saal Us K_
Tmam Umr Katti Youn Bhi Raaye'gan 'Mohsin'_
Mila To or Bhi Taqseem Kr Gya MujhKo_
Sametna Thi'n Jisy Mri Kirchiyan 'Mohsin'_
Kahin Se UsNe Bhi Torra Hai khud Se Rabt_e_Wfa_
Kahin Se Mai Bhi Bhool Gya Dastaan 'Mohsin'_
0 Comments