Main Hijar K Azaab Se Anjaan Bhi Na Thi_
Par Kia Hua Subah Talak Jaan Bhi Na Thi_
Aane Mai Ghar Mere Tujhe Jitni Jhijak Rahi_
Is Darja Mai Be_Saro Samaan Bhi Na Thi_
Itna Samjh Chuki Thi Mai Us K Mizaj Ko_
Woh Ja Raha Tha Aur Mai Heraan Bhi Na Thi_
Aarasta To Khair Na Thi Zindagi Kabhi_
Par Tujh Se Qabal Itni Pareshan Bhi Na Thi_
Jis Jaa Makeen Ban'ne K Dekhe Thay Maine Khawab_
Us Ghar Mai Aik Sham Ki Mehman Bhi Na Thi_
Dunia Ko Dekhti Rahi Jis Ki Nazar Se Mai_
Us Aankh Mai Mere Liye Pehchan Bhi Na Thi_
Roti Rahi Agr To Mai Majboor Thi Bohat_
Woh Rat Kaatni Koi Aasan Bhi Na Thi_
Naqd_e_Wafa Ko Chashm_e_Khareedar Kia Mile_
Is Jins K Liye Koi Dukan Bhi Na Thi_
0 Comments