Bikhri tamanao ka Gham hai Aur kuch Bhi Nahi

Bikhri tamanao ka Gham hai Aur kuch Bhi Nahi

Meri udasi hi Mera Hum Dum hai Aur kuch Bhi Nahi



Pathar Numa shakhas ko Ek Phool ki Manind samjha

Meri Ek Yeh hi khoobi kam hai Aur kuch Bhi Nahi



Log kehte hain ke Main taras shanas hoon

Han Yeh Dil hi thora Naram hai Aur kuch Bhi Nahi



Karri Dhoop Mein Jal Jal ke Mujhe Manzil Phir Na Mili

Aur Paon Mein Mere zakham hai Aur kuch Bhi Nahi



Main Is Dil ko Cheer ke tujhe kia Dikhaun ay

Jan-e-Ghazal

Bus Ek Bara hi Bewafa sanam hai Aur kuch Bhi Nahi.

Post a Comment

0 Comments