Din ko mismaar huey raat ko tameer huey

Din ko mismaar huey raat ko tameer huey

Khwaab hi khwaab faqat rooh ki jageer huey



Umer bhar likhty rahy phir bhi warq sadha raha

Janay kya lafz thy jo humse na tehreer huey



Ye alag dukh hai k hain tere dukhon se azaad

Ye alag qaid hai hum kyun nahi zanjeer huey



Deeda-o-dil me tere aks ki tashkeel se hum

Dhool se phool huey rang se tasveer huey



Kuch nahi yad k shab raqs ki mehfil me

Hum juda kis se huey kis se baghal-geer huey.

Post a Comment

0 Comments