Iss Dunya-e-hasrat mein Baray Hum ne Azaab dekhy

Iss Dunya-e-hasrat mein Baray Hum ne Azaab dekhy

Ishq ki lambi manzil thi, rasty saary kharaab dekhy



La-Elaaj is Marz mein kya kya Elaaj Daikhy

Kisi Ne Ghungru bandh liye, Kai Peety sharaab Dekhy



Taary gin gin waqt Guzara, Hijr Ki Lambi Raatein Dekhein

Neend To Mujhe Qaleel aye, Jagraty Be-Hisaab Dekhy



Wafa hai Riwayat apni, phir bhi hum Ghareeb thehry

Be-wafai ka Taaj pehny Kitny Hum ne Nawaab Dekhy



Kya Bataon Neend k uss Lamhy mein Kya Dekha

Wohi Tanhai, wohi Judai, uss se milny k Khawab Dekhy.

Post a Comment

0 Comments