Kiya karta hon tanhai main ashkon se wuzu aksar,



Kiya karta hon tanhai main ashkon se wuzu aksar,
Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar...*

Teri ankhon mein khud ko dhoondta hon is liye shayed,
K apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar...*

Taka karta hon tanha beth kar pehron jo phoolon ko,
Tumhari un main hoti hai shabahat hu'bahuu aksar...*

Woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha,
Ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar...*

BuKharI' deen-e-wafa ka dum to sab bharte hain lekin kiyon,
Issi ke naam par galiyon mein behta hai lahuu aksar.,.

Post a Comment

0 Comments