Main rootha to wo mana kr chal diya,

Main rootha to wo mana kr chal diya,

Apne saray Ehsaan b jata kr chal diya,



Ye such hai k wo Ehd-shikn tha,

Magar kuch waday b nibha kr chal diya,



Usay moortiyan banane ka shoq tha bohat,

Wo mujhko b pathar ka bana kr chal diya,



Milna na milna NASEEB ki baat hai,

Wo jate jate ye baat b samjha kr chal diya,



Apna Lena mere baad kisi aur ko Tum,

Wo mujh se ye pabandi b hata 'kr chal Diya...!"

Post a Comment

0 Comments