Mohabat rog hoti hai kaha bhi tha,
Rula kar khud bhi roti hai kaha bhi tha,
Kinaray k boht nazdeek le ja kr,
Yeh kashti ko daboti hai kaha bhi tha,
Isay tum dil ki dharti ka pata mat do,
Ye is me dard boti hai kaha bhi tha,
Luta kar dil ko ronay se bhi kya hasil,
Bohat nayab moti hai kaha bhi tha,
Azal se iski fitrat hai zamanay ko,
Jaga kar aap soti hai kaha bhi tha,
Yeh sar se paoun tak bus raakh kar de gi,
Bohat bedard hoti hai kaha bhi tha,
0 Comments