Ye MehlonYe TakhtonYe Taajon ki Dunia,

Ye Mehlon

Ye Takhton

Ye Taajon ki Dunia,

Ye Insa'n k Dushman Samaajon ki Dunia,



Ye Dolat k Bhooke Riwaajon ki Dunia,

Ye Dunia Agar Mil bhi jaye to kia hai,



Har Aik jism Ghayal

Har Aik Rooh Payasi,

Nigahon Mein Uljhan

Dillon Mein Udasi,



Ye Dunia hai Ya Aalam-e-Bad-Hawasi,

Ye Dunia Agar Mil bhi jaye to kia hai,



Yahan Aik Khilona hai Insa'n ki Hasti,

Ye Basti hai Murda Paraston ki Basti,



Yahan to jivan Se hai Mout Sasti,

Ye Dunia Agar Mil bhi jaye to kia hai,



Jawani Bhatakti hai Badkaar Ban kar,

Jawaa'n jism Sajte hain Bazar Ban kar,



Yahan Payar hota hai Biyopar Ban kar,

Ye Dunia Agar Mil bhi jaye to kia hai,

Post a Comment

0 Comments