Mundar per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga
woh aanay wala shakhs janay kis taraf se aaye ga
to taye howa na, is gali k mor tak to sath hain
per is gali k mor tak bhi ik zamana aaye ga
udaas parbatoon se sardiyon ki barf aa mili
magar ye rabt dhoop ki kiran se toot jaye ga
jo log hijar ki musafaton main thak k so gaye
khayal e mousam e wisaal hi unhain jagaye ga
wo ajnabi to sheher chor kar kabhi ka jaa chuka
kitab e dil ki roo-numai main kisay bulaye ga
tu apnay harf us k naam kar k khud ko bhol ja
ye ehd e be-hunar hai kis ko mouajza dikhaye ga
sivaye us k apni teergi main aap jal utthain
Saleem shab zadoon ko kon roshni dikhaye ga
0 Comments