Dharkan ki uljhanon ko sanwara tha or bus,

Dharkan ki uljhanon ko sanwara tha or bus,

Kaghaz pe dil ka bojh utara tha Or bus,



Bs itna janta hon k awaz uski thi,

Itna pata hy usny pukara tha Or bUs,



Dunia ki fiqAr kia thi zamany ka khauf kia ?

Hmko faqat khyal tmhara tha Or bUs,



Chahton k jahan me kuch faeda ho na ho magar,

Chahton k junoon mai sirf khasara tha Or bUs,



Logon ne usy meri muhabat samajh lya,

MOHSIN wo mujh ko JAAN sy pyara tha Or bus.!

Post a Comment

0 Comments