Har Kisi Ko Kab Bhala Youn Mustrad Karta Hoon Main?
Tu Hai Khush Qismat Agar Tujh Se Hasad Karta Hoon Main
Bughz Bhi Seene Mein Rakhta Hoon Amaanat Ki Tarah
Nafraten Karne Pe Aa Jaon To Had Karta Hoon Main
Koi Apne Aap Manwaane Wala Bhi To Ho
Maan'ne Mein Kab Kisi Ki Rad-o-Kad Karta Hoon Main
Kuch Shaoori Sateh Par, Kuch La-Shaoori Taur Par
Kaar-e-Fikar-o-Fun Mein Ab Sub Ki Madad Karta Hoon Main
Iss Liye Mujh Se Khafa Hain Ehal-e-Gulshan Aaj Kal
Rang Jhutlata Hoon, Khushbu Mustrad Karta Hoon Main
Meray Jazboo'n Se Bachaao, Naik Dil Logo Mujhe
Roz-o-Shab In Bad-Maashon Ki Madad Karta Hoon Main
Dosroon K Waastey Likha Huwa Lagta Hai Jhoot
Apni Sachai Ko Aksar Aap Rad Karta Hoon Main
Rang Par Aai Huwi Hai Ab Junoo'n Khaizi Meri
Roz-o-Shab Toheen-e-Arbaab-e-Khird Karta Hoon Main
Tooq Gardin Mein Pehnta Hoon Lahoo Ki Dhaar Ka
Khalq Ko Hairaan SaJiD Zad-Ba-Zad Karta Hoon Main
0 Comments