Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar Baandha Kab Zabt Ka Yaara Us Din Tha,

Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar Baandha Kab Zabt Ka Yaara Us Din Tha,

Har Dard Ne Dil Ko Sehlaaya, Kiya Haal Hamaara Us Din Tha.



Jab Khuwaab Huwi Us Ki Aankhein, Jab Dhund Huwa Us Ka Chehraa,

Har Ashk Sitaara Us Shab Tha Har Zakham Angaara Us Din Tha.



Sab Yaaron K Hote Sote, Hum Kis Se Gale Mil Kar Rote,

Kab Galiyaan Apni Galiyaan Thein Kab Shehar Hamaara Us Din Tha.



Jab Tujh Se Zara Ghafil Thehre Har Yaad Ne Dil Par Dastak Di,

Jab Lab Pe Tumhaara Naam Na Tha Har Dukh Ne Pukaara Us Din Tha.



Ek Tum Hi Faraz Na Thay Tanhaa! Ab K To Bulaawa Jab Aaya,

Ek Bheerr Lagi Thi Maqtal Mein Har Dard Ka Maara Us Din Tha.

Post a Comment

0 Comments