Wohi aahatain dar-o-baam par wohi rut jagon k azab hain
Wohi adh bujhi meri neend hai wohi adh jaly mery khuwab hain.
Mery samny ye jo kehkasha, ki hai dhund had-e-nigah tak
Pary is k jany hain haqiqaten ya haqiqaton k sarab hain
Kabi chaha khud ko samitna to bikhar k aur b reh gya
Hain jo kirchi kirchi pary huwy mery samny mery khuwab hain
Ye na poch kesy basar kiye shab-o-roz kitne pehar jiye
Kisy raat din ki tameez thi kisay yaad itny hisab hain
0 Comments