Karb Chehre Se Maah-o-saal ko Dhoya jaaye,

Karb Chehre Se Maah-o-saal ko Dhoya jaaye,

Aaj Fursat se Kaheen Beth k Roya jaaye,



Phir kisi Nazm ki Taameer Uthai jaaye,

Phir kisi Jism ko Lafzon Mein Samoya jaaye,



Kuch to ho Raat ki Sarhad Mein utrney Ki Saza,

Garam Suraj ko Samundar Mein Daboya jaaye,



Itni jaldi to Badalte Nahi Hoon Ge Chehre,

Gard-aalood hain Aayino ko Dhoya jaaye,



Mout se Khauf-zada, Jeeney se Be-zaar hain Log,

Aise Moqay pe Hansa jaaye Ya Roya Jaaye...

Post a Comment

0 Comments