Kis Darja Haseen Tha Mera Mahool Ka Gham Bhi

Kis Darja Haseen Tha Mera Mahool Ka Gham Bhi

Mein Bh0ol Gaya Aap ka Andaaz-E-Sitam Bhi



Uljhay Huway Lamhaat K Tareek Safar Mein

Aaye Hain Bahut Yaad Teri Zulf K Kham Bhi



Ek Lamha To Dam Leny Dy Aaghoosh-E-Suk0on Mein

Ay Gardish-E-Halaat Kisi Morr Par Thamm Bhi



Palkoon Pe Sajaye Huway Zakhmoon K Nagenay

Guzrain Gy Kisi Roz Tere Sheher Se Hum Bhi



Q Dard Ki Qandeel Jalayi Koi Dil Mein

Halaat Ki Talkhi To Ziyada Bhi Hai Kam Bhi



Manzar To Zara Daikhiye Ruswayi-E-Fan Ka

Bikny Lagy Bazaar Main Arbab-e-Qalam Bhi



Kuch Dair To Phoota Hai Lahoo Meri Jabeen Se

Kuch Dair To Chamky Ga Tera Sang-E-Haram Bhi

Post a Comment

0 Comments