Ik umar talak ashk fishaani mein raha hai,

Ik umar talak ashk fishaani mein raha hai,

Ay Ishq ! tera dard rawaani mein raha hai,



Ye chorr mere saath kabhi tha k nahi tha,

Wo shakhs magar meri kahaani mein raha hai,



Ik hijar tere baad rag-e-jaan mein utar kar,

Taa umar phir alfaz-o-ma'aani mein raha hai,



Sehraa se tere dill ki guzar gaah talak dill,

Har roz nayi naqal makaani mein raha hai,



Wo saath nahi mere magar sach hai hamesha,

Wo shakhs meri aankh k paani mein raha hai,

Post a Comment

0 Comments