Na Ghubaar Mein Na Gulaab Mein Mujhe Dekhna

Na Ghubaar Mein Na Gulaab Mein Mujhe Dekhna

Mere Dard Ki Ab-o-Taab Mein Mujhe Dekhna



Kisi Waqat Shaam Malaal Mein Mujhe Sochna

Kabhi Apne Dil Ki Kitaab Mein Mujhe Dekhna



Kisi Dhun Mein Tum Bhi Jo Bastiyo'n Ko Tyag Do

Isi Raah-e-Khaana Kharaab Mein Mujhe Dekhna



Kisi Raat Maah-o-Najoom Se Mujhe Poochna

Kabhi Apni Chasham Puraab Mein Mujhe Dekhna



Essi Dil Se Ho Kar Guzar Gaye Kai Karavaan

Ki Hijratoo'n K Zaib Mein Mujhe Dekhna



Main Na Mil Sakoo'n Bhi To Kiya Huwa K Fasaana Hoon

Nai Dastaan Naye Baab Mein Mujhe Dekhna



Mere Khare Khare Sawaal Mein Mujhe Dhoondna

Mere Geet Mein Mere Khuwaab Mein Mujhe Dekhna



Mere Aansuo'n Ne Bujhai Thi Meri Tashnagi

Essi Bargzida Sahaab Mein Mujhe Dekhna



Wohi Ik Lamha Deed Tha K Ruka Raha

Mere Roz-o-Shab K Hisaab Mein Mujhe Dekhna



Jo Tarrap Tujhe Kisi Aaine Mein Na Mil Sakey

To Phir Aaine K Jawaab Mein Mujhe Dekhna..

Post a Comment

0 Comments