Mohabbaton ko sar_e_Aam kar k chorr gaya,


Mohabbaton ko sar_e_Aam kar k chorr gaya,

waQt_e_rukhsat hamein bad_naam kar k chorr gaya,

usi k dam se ti roshan yeh zindagi apni,

wohi udasiyon ki sham kar k chorr gaya,

khud to khushyon k dess mein wo bass gaya ja k,

Ghamon ka shehr mere naam kar k chorr gaya,

hum jeetne walon mein the shamil lekin,

wo gaya to hamein nakaam kar k chorr gaya.

Post a Comment

0 Comments