Darakhat-e-Jaan Pe Azab Rut Thi,
Na Barg Jage
Na Phool Aaye
Bahar Wadi Se Jitne Panchi Idhar Ko Aaye Malol Aaye
Wo Saari Khushiyaan Jo us Ne Chaheen,
utha K Jholi Mein Apni Rakh li,
Humare Hisay Mein
uzzr Aaye,
Jawaaz Aaye,
usool Aaye,
Wafa Ki Basti luti
To us K Asason Ka Hisab Thehra
Kisi K Hisay Mein Zakhm Aye
Kisi K Hisay Mein Phool Aye
Ab Is Qissy Se Faida Kya K Kon Kitna Wafa Nagar Tha
Jab us Ki Mehfil Se Uth K Aye To Sari Baaton Ko Bhool Aye
Be'Naam-e-fasal-e-Bahar Azar Wo Zard Patty He Mutabar Thay
Jo Haans K Nazar-e-Khizan Huy Hain
Jo Sabz Shakhon Pe Jhol Aaye.
0 Comments