Koi Bhi Lamhaa Kabhi Laot Kar Nahi Aaya

Koi Bhi Lamhaa Kabhi Laot Kar Nahi Aaya
Woh Shakhs Aysa Gaya Pher Nazar Nahi Aaya,

Wafa Kay Dasht Mein Rasta Nahi Milaa Koi
Siwaaye Gard-e_Safar Humsafar Nahi Aaya,

Palat Kay Aane Lage Shaam Kay Parinde Bhi
Hamaara Subah Ka Bhoola Magar Nahi Aaya,

Kisi Charagh Ne Poochi Nahi Khabar Meri
Koi Bhi Phool Mere Naam Par Nahi Aaya,

Chalo Koocha-e-Qatil Se Hum Bhi Ho Aaien
Kay Nakhl-e-Daar Pe Kab Se Samar Nahi Aaya,

Khuda Kay Khaof Se Dil Jo Larazte Rehte Hain
Unhe Kabhi Bhi Zamaane Se Darr Nahi Aaya,

Kidhar Ko Jaate Hain Raste, Yeh Raaz Kaise Khule
Jahaan Mein Koi Bhi Baar-e-Dagar Nahi Aaya,

Yeh Kaisi Baat Kahi Shaam Kay Sitaare Ne
Kay Chain Dil Ko Mere Raat Bhar Nahi Aaya,

Humen Yaqeen Hai "Amjad" Nahi Woh Wada Khilaaf
Yeh Umar Kaise Kategi, Agar Nahi Aaya.'
         

Post a Comment

0 Comments