Wohi Aahaten Dar-e-Baam Par Wohi Ratjagon Kay Azaab Hain

Wohi Aahaten Dar-e-Baam Par Wohi Ratjagon Kay Azaab Hain
Wohi Adh-Bujhi Meri Neend Hai Wohi Adh-Jale Mere Khawab Hain,

Kabhi Chaha Jo Khud Ko Sametna To Bekhar Kay Aur Bhi Reh Gaya
Hain Kirchi Kirchi Pare Howe Mere Saamne Mere Khawaab Hain,

Yeh Na Pooch Kaise Basar Kiye, Shab-o-Roz Kitne Paher Jiye
Kise Raat Din Ki Tameez Thi Kise Yaad Itne Hisaab Hain,

Unhen Khaof Rasm-o-Riwaaj Ka Humen Waza Apni Hi Aziz Hai
Woh Riwayaton Ki Panaah Mein, Hum Un kay Zer-e-Ataab Hain,

Abhi Zakhm-e-Nao Ka Shumaar Kiya Abhi Rutt Hai Dil K Singhaar Ki
Abhi Aur Phootengi Kompalen Abhi Aur Khilne Gulaab Hain.'
         

Post a Comment

0 Comments