Ujrre huye iss dil ke har ik zakhm se pucho,

Iss sheher main aesi bhi qayamat na hui thi,
Tanha they magar khud se to wehshat na hui
thi,

Yeh din hai ke yaron ka bharosa bhi nahi hai,
Woh din they ke dushman se bhi nafrat na hui
thi,

Ab saans ka ehsaas bhi ek baar-e-giraan hai,
Khud apne khilaaf aesi baghavat na hui thi,

Ujrre huye iss dil ke har ik zakhm se pucho,
Iss sheher mein kis kis se mohabbat na hui thi,

Ab tere qareeb aa ke bhi kuch soch raha hoon,
Pehle tujhe kho kar bhi nadamat na hui thi,

Khawabon ke hawa raas thi jab tak mujhe
Mohsin,
Yoon jaagte rehna meri aadat na hoi hui..

Post a Comment

1 Comments