Kyun hum se khafa ho gaye ae jan-e- tamana

Kyun hum se khafa ho gaye ae jan-e-
tamana
Bheegay huway mousam ka maza kyun
nahin letay

Yeh raat yeh barsat yeh sawan ka
maheena
Aisay mein tu sholoon ko bhi ata hai
paseena
Iss rut mein ghareeboun ki dua kyun
nahin letay


Dekho tu zara jhank kay bahir ki faza
mein
Barsat nay aik aag laga di hai hawa
mein
Iss aag ko seenay mein basa kyun
nahin letay

Aya hai kisay ras judai ka yeh alam
Tarpain akelay udher aap idher hum
Dil dil se meri jaan mila kyun nahin
detay

Kyun hum se khafa ho gaye ae jan-e-
tamana
Bheegay huway mousam ka maza kyun
nahin letay

Post a Comment

0 Comments