Aashqi deen nahi hai keh mukammal ho jaaye,

Di hai wehshat to ye wehshat hi musalsal ho jaaye,

Raqs karte huye atraaf men jangal ho jaaye,

Aiy meray dasht mizajo ye meri aankhein hain,

In se roomal bhi chu jaaye to badal ho jaaye,

Chalta rehny do miyan silsila dildaari ka,

Aashqi deen nahi hai keh mukammal ho jaaye,

Halt-e-hijr men jo raqs nahi kar sakta,

Us k haq men yehi behtar hai keh pagal ho jaaye,

Mera dil bhi kisi aaseb zada ghar ki tarha,

Khud bakhud khulny lagy khud hi muqaffal ho jaye,

Doobti naao men sab cheekh rahy hain Tabish,

Aur mujhy fikr keh meri ghazal mukammal ho jaaye...

Post a Comment

0 Comments