Kal shab hawa bajati rahi dar_bila jawaz,

Kal shab hawa bajati rahi dar_bila jawaz,
Ham jaagty rahy yun hi shab bhr_bila jawaz.

Kch is liye b mujh ko manata nhi koi,
Main khud se rooth jata hn aksar_ bila jawaz.

'Main raah chal raha hn'_ is ehsas k liye,
Khata hn gaam gaam pe thokar' bila jawaz,

Uski wafa pe mujh ko bara zo'm h mgr,
Lahiq h dil ko phr b koi dar' bila jawaz.

Saqi jaga na yun mery andar k rind ko,
Chalka na jam o mena o saghar_bila jawaz.

Tarsy hai boond boond ko be'aab wadiya'n,
Sar pr tani hai abr ki chadar_bila jawaz.

Hijra'n ki shab mai apny hi saye ko dekh kr,
Rooh kanpny lgi meri thr thr_bila jawaz.

Ay dil'mery wajud ko hai ranj ki talab,
Tu phir se koi hashr bapa kr_ bila jawaz.

Kafir kahay gi khalq e khuda' hosh kr Asad,
Yun usky rubaru na jhuka sar_ bila jawaz

Post a Comment

0 Comments