Daman-E-Gul Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaatay Hain .

Daman-E-Gul Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaatay Hain .

Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaatay Hain .

Shamaa Jalti Hai Sada Aik Hi Lamhay Mein Lekin .

Jal Ke Parwane Kayi Baar Bikhar Jaatay Hain .

Jin Ko Insaa'n Pirota Hai Bohat Ulfat Se .

Haaye Wo Gul Sar-E-Bazaar Bikhar Jaatay Hain .

Paaoun Uthaty Hain Tere Koochay Ki Janib Jab Bhi .

Apni Raho'n Mein Kayi Khaar Bikhar Jaatay Hain .

Raat Ke Pichlay Pehar Khoon-E-
Tamanna Ki Tarhan .

Hum Teri Yaad Mein Aey Yaar Bikhar Jaatay Hain .

Ho Ga
AndaAz-E- Wafa Un Ka Alag Hi 'shakir'

Jin Ki Rahon Mein Talab-Gaar Bikhar Jaatay Hain.


Post a Comment

0 Comments