Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum

Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jaao tum,

Jahan pe hath chhorra tha jahan pe sath chhorra tha,
Usi raah pe kharra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Udaasi ne banaya ghar mere dil k bagheeche mein,
Bohat hi ghamzada hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Dar-o-deewar kehte hain mere kaano mein aa aa kar,
Kab se veeraan parra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Kisi ka baa-wafa hona Sajid sabab hai gar judaai ka,
Suno! phir be-wafa hoon main palat ke aa bhi jaao tum..

Poet > Sajid Hashmi


Post a Comment

0 Comments