Ashaar mere yuun to zamane ke liye hain,

Ashaar mere yuun to zamane ke liye hain,
Kuch sher faqat un ko sunaane ke liye hain,

Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain,
Kuch dard kaleje se lagane ke liye hain,

Aankhon main jo bhar loge to kaanton se chubhen ge,
Yeh khawb to palkon pe sajaane ke liye hain,

Dekhon tere hathon ko to lagta hai tere haath,
Mandir main faqat deep jalaane ke liye hain,

Yeh ilm ka sauda yeh risaale yeh kitaaben,
Ik shakss ki yaadon ko bhulaane ke liye hain.

Post a Comment

0 Comments