Kiya Kahiye K Ab Us Ki Sada Tak Nahi Aati
Oonchi Hon Faseelein To Hawa Tak Nahi Aati
Shaayad Hi Koi Aa Sakay Is Morr Se Aagay
Is Morr Se Aagay To Qaza Tak Nahi Aati
Wo Gul Na Rahe Nikbat e Gul Khaak Milay Gi
Ye Soch K Gulshan Mein Saba Tak Nahi Aati
Is Shor e Talatum Mein Koi Kis Ko Pukarey
Kaano Mein Yahan Apni Sada Tak Nahi Aati
Khuddaar Hoon Q Aaon Dar e Abl e Karam Par
Kheati Kabhi Khud Chal Kar Ghata Tak Nahi Aati
Us Dasht Mein Qadmoon K Nishaan Dhoond Rahey Ho
Pairron Se Jahaan Chhan K Ziya Tak Nahi Aati
Yaa Jaatay Huwey Mujh Se Lipat Jaati Thi Shaakhein
Yaa Meray Bulaney Se Saba Tak Nahi Aati
Kiya Khushk Huwa Roshniyon Ka Wo Samandar
Ab Koi Kiran Aabla Paa Tak Nahi Aati
Chhup Chhup K Sada Jhankti Hai Khalwat e Gul Mein
Mehtaab Ki Kirnon Ko Haya Tak Nahi Aati
Ye Kon Bataaye Adam Abaad Hai Kaisa
Tooti Huwi Qabron Se Sada Tak Nahi Aati
Behtar Hai Palat Jaao Siyaah Khan e Gham Se
Is Sard Ghupa Mein To Hawa Tak Nahi Aati
0 Comments