Zamane bhar ki nigahon se jo Khuda sa lage 

Zamane bhar ki nigahon se jo Khuda sa lage 
Wo ajnabi hai magar mujh ko aashna sa lage

Najane kab meri dunya main muskuraye ga
Wo shaks k khuabon main bhi khafa sa lage 

Ajeeb cheez hai yaro ye manzilon ki hawis 
K rahzan bhi musafir ko rehnuma sa lage

Dil tabah tera mashwara hai kya k mujhay 
Wo phool rung sitara bhi bewafa sa lage 

Huwi hai jis se mun'nawar hai aik ankh ki jheel 
Wo chand aaj bhi "Mohsin" ko kam numa sa lage

Post a Comment

0 Comments